How to Use Free Wifi Internet In India Railway Station : Free Sabd Sunte hi hamare Kaam khade ho jate hai, Q ki koi bhi Free ki chij nahi choadna chata.. Or agar baat ho Free Wifi ki to Wifi ka sirf pata chal jaye sab tut padte hai. To Friends aaj me aapko ek Free Wifi Project ke ware me batane wala hu jo Google ne India me Launch kiya hai.
How to Use Free Wifi Internet In India Railway Station India ke PM Narendra Modi ji Jab Google ke Headquater gaye the US me or Google ke CEO Sunder Pichai se mile the. Us Time Google ne announced kiya tha ki wo High-Speed Free Wi-Fi lagayege India ke 400 Train Stations par puri India.
Google ne ye Project Railtel Corporation ke sath launch kiya hai or abhi Kaam chalu bhi ho gaya hai Free Wi-Fi lagane ka Stations par.
Google High Speed Free Internet Wifi in India
2016 ke last tak ka target hai ki India ki 100 Railway stations par wifi laga diya jaye. Phele jin 100 Stations par Wifi Lagega uski List
Railway Station Par Free Wife kaise Connect kare
- Sabse Phele Wi-fi ki setting me jaye apne mobile me
- Wifi network me RailWire Network ko select kare or connect kar le.
- Ab Browser open kare
- Browser me railwire.co.in website open kare
- Ab apna Mobile Number dale uske baad Receive SMS ki button par click kare
- Ab aapke pass ek SMS aayega usme one-time password (OTP) hoga wo hame dalna hai
- Code dalne ke baad Done ki button par click kare
- Fir aap dekhege ki ek Green Tik aayega screen par iska matlab aap connect ho chuke hai.
Ab Luft uthaiye Google ke High Speed Free Internet ka or jo Download karna hai kariye bilkul free me.
Ye Jankari aapko kesi lagi wo comment me jarur bataye or apne josto se bhi is jankari ko share kare taki wo bhi iska faida utha sake.